Tumse mile, ab lagtaa hai sadiyaan beet gayein,
chhoti sii dukaan par, meethi chai aur samose,
jis ke bahaane tumhe ghadi bhar dekh lete they,
ab bhi hain, par tum nahin aur woh chahat bhi nahin
Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa
kabhi ret pe tumhaare nishaa dhoondhtaa hoon,
raat ko akele nikal jaata hoon,
us ek pal ki talaash mein,
jo lagtaa hai lehren bahaa ke le gayein apne saath
Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa
jab hawaa tumhaare baal udaa kar,
chhupa leti thii tumhaari aakhein, tumhaari muskuraahat,
ab bhi chalti hai, ussi manthar gati se,
par ab bas udaati hai ret, aakhon mein aansu laati hai
Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa
meri awaaz aaj bhi takraa ke laut-tii hai,
par nahin sunaayee deti hai tumhaari hansii,
bas suntaa hai, to dard ke thapedon ki chaap,
aankhein bojhal hain, par neend koson duur khadi hai
Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa
samajh saktaa huun tumhaara maun,
maanaa tum mujhe maaf kar deti ho har baar,
chal diyaa hoon main aage, tum bhi badhnaa,
par ek iltizaa hai meri, maan lenaa,
maaf karo mujhe par bhoolnaa mat, yeh ehsaan karnaa
Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa
tamannoyon ka kyaa hai, kuchh bhi maang saktaa hai,
naadan hai yeh dil, iskaa kyaa buraa maanna,
par kitnaa bhi behlaaon, kitnaa bhi samjhaaun,
hai to aakhir mujh mein hi, kehtaa hai to meraa hi dosh hai,
samjhaa loongaa khud ko, de ke thodi tassalli,
meraa mat socho, main khud dhoondh loongaa apnaa moksh
Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa
galib-faiz duhraa liyaa karoongaa,
agar tab bhi naa maanaa to thodaa behek loongaa,
tum zaraa bhi gham naa karnaa, dekhein hain jo sapnay,
unhein chaahongaa, unhe paayoongaa, baddi hasrat,
se mili hai yeh zindagi, iss-se wafaa karoongaa,
thodaa dard hai, thodaa gham hai, lekin jiye jaaongaa
Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa
kabhi gar kismet, jo abhi hum pe meherbaan nahin,
milaa de hamein, zindagi ke kisi mod par,
hansnaa, kehnaa, bahut din baad mile, kaise ho,
chalnaa to kehnaa achaa lagaa, jald hi phir milenge
Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa
gayaa nahin kisi mandir kisi girje,
nahin maangaa kuchh bhi tumhaare sivaa, tumhaare baad,
aaj bahut tamanna hai ki kuchh maanguu, kuchh chaahuun,
chaahaa ki tum khush raho, raho sukhi, raho aabaad sadaa,
aur chaahaa hi hai, to maang baithaa kii tum, tumhaari yaad,
aaye jis tarah tum aate they, bahaar saath laate they,

Comments