Skip to main content

Finally some of it is here...

I has started writing this piece a long time back. I had quite spectacular goals for this one. I wanted it to be the best I would ever write. Hindi and Poetry... well I can write in them too...
I wrote quite a few stanzas before I left that at my parent's home, thinking that if I were not to read them, I would tend to forget all that made me write it in the first place. But no such luck. Anywayz last night...

All this is in addition to what I have written till now.... (not on the net) and I will enable unicode sometime and write that as well...(one of my major aim is to get a complete draft out)

"Tu"

Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa

Tum ek khwaab hi to ho,
Aati ho chalii jaati ho,
kabhi kabhi ek aah sii chhod jaati ho,
bharii sii zindagi ko viiran kar jaati ho

Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa

In paedon ki pattiyon ki sar-sarahat mein,
hansii chaandni mein ek dard jagaati ho,
sapnaa dekhtaa hoon ek dhuudhiyaa safed parvat ka,
sab taraf ashaar hi ashaar nazar aate hain,
Iss syaahi se tumhaare badan par apne nishaa chhod jaaon,
aur apne shabd tumhe udadha ke, vida karoon

Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa

saat ghante beete hain tumhe gaye huey,
kuchh do ghante aur de gayee ho mujhe,
kuch pal ujde se yahaan pade hain,
aur ek woh pal jo maine mutthii mein jakdaa huaa hai

Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa

Aaj akele baithe anayaas hi tum yaad aaye,
sab taraf ek hansii khushboo thii,
lagaa ki tum yahin kahin ho, aur aansuun umad aaye,
itnaa pyaar na karo mujhse, ki
seh naa sakoongaa, aur 'gar karo to,
rakhnaa vishwaas aur mat gin'naa pal

Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa

yeh samay tumhaare liye, mere liye,
akelepan mein bitaaye huey pal,
waqt ke khandhar mein, kuchh ujde saal,
pukaarte hain tumhe, tumhaare ehsaas ko aatur,
aur ab beet rahein hain, ki kal kuchh bhi naa rahegaa,
tum mere pal le lo, aur main tumhaare

Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa

mujhe dhoondne do, iss bheeni si mehek,
jo tumhaari hai, jo phusphusaa rahii hai,
mujhe yada-kada pukaar rahii hai,
aur praapt karne do moksh, tum mein

Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa

Iss zindagi mein kuchh kshana hain,
jo main samajh nahin paa rahaa hoon,
kuchh girehe hain jo khulte nahin,
kuchh pinjar jo akele sadd se rahe hain,
inme ek kshana hain, jab sab arth kho jaate hain,
aur ek woh jab sab mit jaata hai

Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa

chalo vaapis laut chalein,
jab naa tum tum they aur naa main main,
jab hum hum hii naa they,
jab hum ek dujey se judaa they

Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa

Aur kyaa hashra hogaa hamaara,
jab viiraan do taapoo se,
jinkaa chhor nahin miltaa,
rahenge khade hum, iss samay ke anth tak

Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa

waqt ke saath hum badal gaye,
mere ehsaas pe nishaa hain, aur
kuchh bhare huey se ghaav, aankhon ke kinaare
andhere, aur tumhaari yaadon ki shikan,
ab kuchh bachaa nahin, chhupaane bhar ko,
jab tum gaye, badal gaye sabhi maayane bhi

Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa

waqt hii kharaab rahaa hogaa,
main kuchh uljhaa uljhaa saa thaa,
shayad tum bhi, aur ab kyaa kahoon,
tumko to naa iss zindagi mein,
aur naa hii maut mein paa saktaa hoon,
samay ko rokne kii ek thakii sii koshish,
tuutaa huaa saa dhharyaa,
naa aage badhh paane kii himmat,
naa tumko jaane de paane ka saahas jutaa paa rahaa hoon, main

Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa

Comments

Popular posts from this blog

Raizada Heritage Fund and Trip to Woodlands

I have a confession to make. We don’t have a sofa at home. We seriously don’t.. Over the last two years, whenever Vartika has broached the touchy topic of a Sofa buy, I have ended up doing rants on how the money saved on not buying a Sofa would be able to feed us for a month, in case startup went bust. (And no, I was not counting on dumb UPA government allowing Sharad Pawar to make billions running amok on the vegetable and cereals market and looting us. In that case, count that sum to last for mere 15 days. That rant is for a separate day) Imagine a 30-40k sofa and me eating it, like the borers mostly do. Tough to imagine and sad to think of. So I return to the sofa tales. Vartika knew I had make her do with those mattresses. You know how dumb I am, relentlessly pointless. Unfortunately I ran into an Ariean, and that too my Mom. She looked at me and the mattresses and then again at me, and I went ballistic. From the sensibility of an accountant, to the eruditeness of an economist (De

Can life teach?

It actually began, quite reluctantly. Unnecessary as it may seem, life teaches you what you allow it to teach. Even Life cannot teach you what it offers you. One has to let himself dissolve into the experience and let it sink in, and that I might call religion or education. Whatever the other person is willing to accept. Nay. Does it matter? Nay. Life is about teaching oneself. Being a self-thought-taught "person", picking up bits and pieces from various experiences, I tread on a path; I have myself laid out for myself. Never have I asked, in other words, begged for words, from "messiahs". Never did I think myself of having enough virtue, call it patience, to learn from others. So "rich" were my experiences. Things change, dynamically. Responding to an open question, throwing caution to the winds, I immersed myself into a debate, with people who thought, had streamlined their thinking apparatus and abilities. Gradually, they pestered; read "lee

The void...

I feel empty. I feel raw. I feel rotten. I feel like not feeling. I have nothing to show, if someone to ask me about what I have achieved in my stay on this planet. Nothing. what is a few flirtations with literature, knowledge, pain and sweat. No blood. No tears. No medallions. No gallantry. Ah! I am disgusted with myself for being so ordinary. I deserve the void for I do not work half as hard as I could. I am wasting my life.