Tumse mile, ab lagtaa hai sadiyaan beet gayein, chhoti sii dukaan par, meethi chai aur samose, jis ke bahaane tumhe ghadi bhar dekh lete they, ab bhi hain, par tum nahin aur woh chahat bhi nahin Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa kabhi ret pe tumhaare nishaa dhoondhtaa hoon, raat ko akele nikal jaata hoon, us ek pal ki talaash mein, jo lagtaa hai lehren bahaa ke le gayein apne saath Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa jab hawaa tumhaare baal udaa kar, chhupa leti thii tumhaari aakhein, tumhaari muskuraahat, ab bhi chalti hai, ussi manthar gati se, par ab bas udaati hai ret, aakhon mein aansu laati hai Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa meri awaaz aaj bhi takraa ke laut-tii hai, par nahin sunaayee deti hai tumhaari hansii, bas suntaa hai, to dard ke thapedon ki chaap, aankhein bojhal hain, par neend koson duur khadi hai Tu ek hansii khwaab ban ke reh jaa samajh saktaa huun tumhaara maun, maanaa tum mujhe maaf kar deti ho har baar, chal diyaa hoon main aage, tum bhi badhnaa, par ek iltiza...