Kaanch ki band khidkiyon ke peeche ,
tum baithee ho ghut-no main muh chupaye
kya hua yadi hamare tumhare beech
ek bhi shabd nahin hai.
Mujhe jo kehna hai keh jaaonga...
yahan, is tarah andekha mera khada hona
matr ek gandh ki tarah
tumhare bheeter bahar bhar jayega...
Kyonki jab ghut-no se sar uthaogi
tub bahar meri aakriti nahin
yeh dhundhli si shaam
aur aanch per jaagi
ek dhundhali si bhaap,
dekh sakogi
jise is andhere main
pighla-kar main choudh gaya hoonga
-Sarveshwardayal Saxena
tum baithee ho ghut-no main muh chupaye
kya hua yadi hamare tumhare beech
ek bhi shabd nahin hai.
Mujhe jo kehna hai keh jaaonga...
yahan, is tarah andekha mera khada hona
matr ek gandh ki tarah
tumhare bheeter bahar bhar jayega...
Kyonki jab ghut-no se sar uthaogi
tub bahar meri aakriti nahin
yeh dhundhli si shaam
aur aanch per jaagi
ek dhundhali si bhaap,
dekh sakogi
jise is andhere main
pighla-kar main choudh gaya hoonga
-Sarveshwardayal Saxena
Comments