Couldn't help but remember the poem (by the same name) in the film.
It was written by Dilip Chitre.
chakravyuh mein ghusne se pehle
main kaun tha aur kaisa tha
yeh mujhe yaad hi na rahega
chakravyuh mein ghusne ke baad
mere aur chakravyuh ke beech
sirf ek jaanleva nikat-ta thi
iska mujhe pata hi na chalega
chakravyuh se nikalne ke baad
main mukt ho jaoon bhale hi
phir bhi chakravyuh ki rachna mein
fark hi na padega
marun ya maarun
maara jaoon ya jaan se maardun
iska faisla kabhi na ho paayega
soya hua aadmi jab
neend se uthkar
chalna shuru karta hai
tab sapno ka sansar use
dobara dikh hi na paayega
us roshni mein jo nirnay ki roshni hai
sab kuchh samaan hoga kya?
ek palde mein napunsakta
ek palde mein paurush
aur theek taraazu ke kaante par
ardh satya
It was written by Dilip Chitre.
chakravyuh mein ghusne se pehle
main kaun tha aur kaisa tha
yeh mujhe yaad hi na rahega
chakravyuh mein ghusne ke baad
mere aur chakravyuh ke beech
sirf ek jaanleva nikat-ta thi
iska mujhe pata hi na chalega
chakravyuh se nikalne ke baad
main mukt ho jaoon bhale hi
phir bhi chakravyuh ki rachna mein
fark hi na padega
marun ya maarun
maara jaoon ya jaan se maardun
iska faisla kabhi na ho paayega
soya hua aadmi jab
neend se uthkar
chalna shuru karta hai
tab sapno ka sansar use
dobara dikh hi na paayega
us roshni mein jo nirnay ki roshni hai
sab kuchh samaan hoga kya?
ek palde mein napunsakta
ek palde mein paurush
aur theek taraazu ke kaante par
ardh satya
Comments